Search

Tuesday, December 7, 2010

Problems for Muslim Youth During Internet Earnings & Their Solutions



Assalam-u-Alaikum, Boht se Friends Aksar Internet se Earning k Mutaliq Puchte rehte hain. Kuch Friends Earning kr b rahe hain. Main khud Last 5 Years se Internet se kr raha hun. Is silsily mein ye Problems hoti hain:
  • Kuch Earning Websites to Bilkul Fraud hain. In se koi Earning nhi hoti. Jaise PTC ki kuch Websites, SiteTalk, TCN etc. 
  • Kuch Websites se Earning to hoti he, laikin boht hi Slow hoti he. In pe Time boht zaya hota he, Jb k faida boht kam hota he. Jaise Adf.ly 
  • Kuch Websites aisi hain, Jin se Earning to hoti he, Laikin wo jo Method use krti hain, wo Islam mein Haram he. Ye log Aam tor pe logon ko Be-waqoof bnane k liye Jhoote Fatwa-Jat k Istimal krte hain & Apne Methods ko Halal Sabit krne ki koshish krte rehte hain. Laikin Main ne Mukhtalif Mufti Hazraat se Ruju kia to Pata Chala k ye Bilkul Haram hain. In mein gmi, One-X & in jaisi other websites Shamil hain. Jo Friends is Type ki kisi Websites pe kam krna chahte hain, ya kr rahe hain, unhein chahiye k wo pehle kisi Mutabir Mufti Sahib se puch lein. 
  • Internet se Earning k kuch Methods aise hain jo Haram to nhi hain, in se Earning b kafi ho jati he (jaise Google Adsense, Data entry jobs etc.), Laikin in mein b kafi Problems hain: 


    1. In Methods se Earning krne k liye kafi Time daina parta he. 
    2. In mein se Zyada tar kam kafi Mushkil hote hain & Sirf Professional Experts hi inhein behtar tor pe Sar-Anjam de skte hain. 
    3. In methods se Earning ko easy & Fast bnane k liye boht si Tricks Istimal ki jati hain, jo Earning ko Haram bana daiti hain. 
    4. In methods ki Owner Mukhtalif Companies Halal & Haram, dono types k Business krti hain. Is trah hamein milne wali Payment mein Haram ki Raqam b Shamil hoti he. 

Internet Earning k liye in baton ka khiyal Zrur rakhein: 


  • Koi b Method Start krne se pehle kisi Expert se Mashwara kr lein, ta k Earning easy ho jaye & pta chal jaye k kahin ye Fraud to nhi. 
  • Kisi Mutabir Mufti Sahib se Mil kar ya Khat likh kr ye conform kr lein k kahin ye Haram to nhi. 
  • Try krein k kisi Muslim Company k Trough Earning krein, kiun k unhein kam az kam Halal & Haram ka Farq to pta ho ga. 
  • Pakistani & Muslim IT Experts & Investors se Meri Request he k wo Mufti Sahiban se Mushawart k bad Aise Plans & Earning Methods Start krein, jin se Achi Earning ho jati ho & wo 100% Halal b hon. 
  • Agr Aap ko Internet pe koi aisi Job nhi mil rahi, Jo 100% Halal & Fast Earning daiti ho, to Aap Internet k ilawa is type ki Other Jobs search krein, ta k Aap Haram se bach skein.

Note: Agr kisi Friend ko aise kisi Job k Mutaliq pta ho to muje zrur btayein. Main b Search kr raha hun.