Search

Saturday, August 6, 2011

How to Make a Free Website


Step-1
Blog banany k liye sb sy pehly
www.blogger.com
pr jain. Aur wahan apni gmail ke id sy login hojain.


Step-2

Login hony k bad aik page ai ga. Wahan apny blog ka title name. Aur apny blog ka name dain aur next kr dain. Ap ka blog ok ho jai ga.


Step-3

Apka yeh blog bilkul sada ho ga aur is pr kuch nain hoga. Jb apka blog bn jai ga. Tu ap ky samny apky blog ka control panel ajai ga.


Step-4
Blog ke control panel main setting, designing, aur posting ke option hon ge. Posting ke option main ja kr ap jo topic ya articl likha chahty hain.


Step-5

Woh likh kr publish pr click kr dain.Ap ke post auto apky blog k main page pr post ho jai ga.Ise tra ap net sy data copy krky wahan paste kr dia kren


Step-6

Designing ke option main akr ap page ka look change kr skty hain. Page element main ja kr ap apny blog main gadget add kr skty hain.


Step-7

Gadget blog main sb sy intesting thing hai. Jo apke blog ko intesting bnai ga. Aur user ka apky blog ko chorhny ko dil nain kry ga.


Step-8

Gadget main ap resent post, top post, visiter comments, visiter counter, posting catagaries add kr skty hain. Apni post facebk pr share kr skty hain


Step-9

Aur sb sy aham ap google adsence add kr skty hain. Aur earning kr skty hain. Jo thora bohat net ko janta hai. Woh blog easly bna skta hai.

No comments:

Post a Comment