Qyamat ki Alamat ka jb b tazkra ho ga to Hazrat Isa (A.S) ka zikar lazmi ay ga. Kiun k Quran-e-Pak mein Arshad he:
"Or wo (Hazrat IsaA.S) Qayamat ki 1 Nishani hain." (Al-Zukhruf: 61)
Hmare zehen mein aksar ye bat hoti he k Hazrat Isa (A.S) ko Isa'ion ki traf Nabi bna kr bhaija gia tha. Laikin asl mein unhein Yahudion ki tarf Nabi bna kr bhaija gia tha. Is se pehle Yahud ne boht se Nabion ko jhutlaya, staya, gustakhi ki, or boht se shahid b kiye gaye. Inhi hrkaton ki waja se Yahud ko boht dfa Azab ka b sam'na krna para. Phir Allah Tala ne Aakhri Muhlat k tor per Hazrat Isa (A.S) ko un ki traf bhaija k wo un ki islah krein. Or Un k deen mein se bid'aat ko khatam krein. Isi liye Allah Tala ne Hazrat Isa (A.S) ko boht se mojizat ata kiye:
1. Aap (A.S) bagair bap k paida huye.
2. Aap (A.S) ne Maa ki god mein hi bolna shuru kr dia.
3. Aap (A.S) ki shakhsiyat or kirdar is qism ka tha k jo koi b ap (A.S) ko daikh laita wo Aap (A.S) ko psand krne lagta.
4. Aap (A.S) jis baimar ko hath laga daite, Allah Tala us ki baimare ko dus frma daite.
5. Aap (A.S) murde ko kehte k "Allah k hakam se Uth" to wo zinda ho jata or uth kr khara ho jata.
6. Aap Mitti k Prinde bnate or wo Allah Tala k hukam se zinda ho jate or Urne lagte.
Laikin in sb nishaniun k bawjud Zayada tar Yahudion ne unhein man'ne se inkar kar dia. Ginti k chand logon ne un k paigam ko tasleen kia or Nasara (madad krne wale) kehlaye. In hi logon ko Isa'i b kaha jata he. Sirf yehi nhi balke Yahudion ne unhein suli pe charhane ki b koshish ki. Laikin Allah Tala ne is koshish ko nakam bnate huye Hazrat Isa (A.S) ko ba-hifazat Aasman per utha lia.
Ab Qayamt se pehle Allah Tala Hazrat Isa (A.S) ko dobara zmeen pe nazil frmayein ge or Wo Yahud ko un k krtut ki saza dein ge or Dajjal ko Qatal Krein ge. Isa'ion ki bari tadad un k hath pe Musalman ho jaye gi. Jb k baqi Yahudion k sath mare jayein ge. Tb dunya mein sirf 1 hi mazhab "Islam" reh jaye ga.
Is bar b Hazrat Isa (A.S) ko boht se Mujizad diye jayein ge. Laikin Yahud ki sarkashi is bar un k mujizat mein Rehmat ki Bajaye Jalal ka rang Numayan ho ga. Maslan...
1. Dajjal Aap (A.S) ko daikhte hi yun pighalna shuru ho jaye ga jaise Namak pani mein ya Charbi dhup mein ghulti he. (Al-Hakim)
2. Aap (A.S) ki sans kis kafir tk pohnche gi, wo usi waqt mar jaye ga. Or jahan tk Aap (A.S) ki nazar jaye gi, wahan tk Aap (A.S) ka sans pohnche ga. (Naeen bin Hammad)
3. Yahud jis pathar ya drakht k piche chupein ge, wohi un k khif munjari kre ga. (Al-Hakim)
No comments:
Post a Comment