Search

Saturday, August 6, 2011

Make a Vbulletin Forum

 
Pehly kisi Hosting Site se domain len. Like byethost.comaur ik Mysql database bhi Create karen. Phir Filecrop.com se Vbulletin Script download karen aur extract karen. Boht saary Folders honge. Phir us mein Upload Folder mein jaen. Phir Includes k Folder mein config.php.new file ko Search karen aur us ka naam Change kar k config.php rakh den.

Phir config.php ko Wordpad par Open karen aur Database Name Find karen. Wahan har cheez by default hogi. Database ki jagah jo aapne Mysql database Create kya hoga wo Copy kar k Paste kar den. Phir Username ki jagah jahan Root likha hoga wahan apni Site ka Username aur neechy Password likhen jo Aap ne apni Site ko banate waqt diya hai. Email ID bhi Change kar den. Note: Wahan par har cheez Change kar k ' ' k beech mein likhni hai. Phir Save kar den.



Phir File Uploading k liye Filezilla Download kar k Install farma kar Open karen. Us mein apni Site ka ftp Link Host mein, Username aur Password dene k baad Connect par Click karen. Us mein phir Right Panel mein apni Site ka htdoc Folder Open karen. Phir Vbulletin k andar Upload Folder ki saari Files ko Select All kar k Filezilla k sub se Last Section mein drag karen aur Right Click kar
k Qeued Files par Click karen. Wo Upload hona shuru ho Jayengi.

Jab Files Upload ho Jayen to http://yoursite.com/install/install.php Open karen. Wahan par Vbulletin Intallation Script aa jayega. Next karte jaen aur ghor se dekhte jayen. Phir aage BB Title, Email ID den aur Next karen. Aur kisi cheez ko mat cherna hai. Phir aage Delete Install/Install.php likha aayega. Apne Site k htdoc Folder se Install.php aur init.php naam ki File ko delete karden. Init ya pata nahi dusri File thi. Naam yaad nahi aa raha. Install.php k upper ya neeche hogi. Phir here par Click karen. Aage Username aur Password likh kar log in kar den. Aap k saamne Cpanel aa jayega. And ur Forum is Ready to Use.
------Finish------

1 comment: