Search

Showing posts with label Dajjal Series. Show all posts
Showing posts with label Dajjal Series. Show all posts

Wednesday, August 24, 2011

*Yahud, "Dajjal" k Muntazir:

Yahud b apne Aqide or Mansoobe pe puri trah amal paira hain. Is silisile mein Amerika or Isra'il k kuch Newspapers se News paish kr raha hun:

1. "Rawrand Kalaid Lot" 1 Pinti Costal Padri hain. Unhon ne Bible ki 1 Ibarat ki is trah tafseer ki he k Yahud k 3rd Hackal ki Tameer lazmi tor per Yrorhalam mein Maseeh ki dusri bar Aamad se pehle ho gi. Kalaid Padri Surakh bail ya Kanwari gaye ko, jo bilkul Be-dag ho, zebah krne k liye kehte hain. Jis k bad Aainda Hackel ki Tameer ki rasam puri ho gi. Is ki khatir Qadeem Islami Ibadat Gahon (Masjid-e-Aqsa or Gunbad-e-Sukhra) ko musmar kr daina ho ga. Kalaid ko yaqeen he k Khuda ki sharakat se ye kam Munasib waqt mein ho jaye ga." (New York Times: 27/12/1998)

Apne ap ko Isa'i kehne wale is padri k nazriyat ise Khalis Yahudi Sabit kr rahe hain.

2. 1998 k end mein Isra'il se Net pe 1 News nashar ki gai, jis mein kaha gia he k: "Hmara Maqsad Musalmano ki Ibadat Gahon ko Aazad krana or in ki jaga Hackel ki Tameer he. Is Hackel ki Tameer k nahayet Mozu waqt aa gia he. Hmara (Isra'ily) Hukumat se Mutalba he k wo jald az jald Islami Qabze ko Masjid ki jaga se khatam kraye. 3rd Hackel ki Tameer boht qarib he."

3. "Isra'il ko Apni Aakhri Azeem Tarikhi Drame k liye bas 1 waqiye ki zururat he. Ye he is ki Purani zameen pe 1 Purani Ibadat Gah ki Dobara Tameer. Hazrat Musa (A.S) k Frman k mutabiq ye Ibadat Gah "Mount Moriah" pe Tameer ki jaye gi. Ye wohi jaga he, jahan Masjid-e-Aqsa or Gumbad-e-Sikhra hain."

Fikar krne ki bat ye he k Jhute nazriyat wale Apne Nazriyat pe puri trah Aml kr rahe hain, jb k Sache Deen k Man'ne wale is silsle mein be-khabr hain. Kia ye hmare liye Sharam ka Muqam nhi?

*Isa'i, "Maseeh" k Intizar mein:

Musalmano ki trah Isa'i b Hazrat Isa (A.S) ki Aamad k muntazir hain. Ahl-e-Magrib ki aksariat La-Deen samjhi jati he. Laikin is k ba-wajud wo is hawale se nahaiyet sargaram hain. Sirf Amerika mein 80000 bunyad prast Padri mojud hain. In padrion k 1000 Christian Radio Stations or 100+ TV Stations hain. In mein se bare tadad "Dispensationalisms" ki he. Ye wo log hain jo Hazrat Isa (A.S) ki aamad or Azeem Tareen Jang pe Yaqeen rakhte hain. In ki tadad barh rahi he. Kuch bare Idare, jo "Dispensationalist" Aqide ki taleem daite hain, in mein "The Bible Institute of Shakago", "Fladifia College of Bible", "The Bible Institute of Lass Angel" or in jaise 200 colleges or Institutes Shamil hain. 1998 mein Bible Schools k Students ki Tadad 1 Lakh se zyada thi.
Yehi Students yahan se nikal kr Padri bnein ge or apna alag Bible School khol kr apne Aqide ki tableeg krein ge. Is waqt Amerika k 1/4 log "Dispensationalist" hain. In ka aqida ye he k "Muqadas Bap" k ane k bad inhein Aasmano pe utha lia jaye ga. Jahan se wo Jand ka nazara "Grand Stand Seats" mein baith kr krein ge. In ki tehreek boht taizi se phail rahi he. Is ka maqsad dunya k har shakhs tk "Maseeh" ka paigam pohnchana he. Is tanzeem ko bare bare or Mashoor Maldar Amerikan Mali amdad fraham krte hain. In logon ka asar Amerika k hr tabpe per he.
Maslan, Amerika k X-President "Ronald Ragen" ne 1981 Padri "Jim Baker" se bat krte huye kaha tha:
"Zara Sochiye! Kam se kam 20 Karor sipahi Mashriq se hon ge or Kroron Magrib se hon ge. Saltanat-e-Roma (Western Europe) ki Tajdeed-e-Nao k bad phir Isa Maseeh (A.S) in pe hamla krein ge jinhon ne in k sheher "Yroshalam" k garat kia he. Is k bad wo in fojon pe hamla krein ge to "Armegadon" ki wadi mein ikathe hon ge. Is mein koi shak nhi k Yroshalam se 200 Meel tk  itna khun bahe ga k wo zameen se ghoron ki bhag k brber ho ga. Ye sari wadi jangi saman, Janwaro or Insano k zinda jismon or khoon se bhar jaye gi. Aisi bat samajh mein nhi ati. Insan dusre insan k sath aise Gair-Insani aml ka Tasawur b nhi kr skta. Laikin us din Khuda insani fitrat ko ye ijazat de de ga k apne Aap ko puri trah zahir kre. Dunya k sare sheher London, Pairus, Tokio, New York, Los Angeles, Shakago, sb Khatam ho jayein ge."
Famous Amerikan Writer "Grace Hall Cell" likhti he:
"Amerika mein 8sal tk 1 aisa Sadar (Ronald Ragen) raha he, jise yaqeen tha k wo waqt k khatme per zinda rahe ga. Balke ye aas lgaye baitha tha k ye waqiya is k intizami zmane mein hi paish ay ga."
Musalman or Isa'i, Dono Hazrat Isa (A.S) ka intizar kr rahe hain. Jb k Yahud ko Anti-Christ (Dajjal) ka intizar he. Hairat ki bad ye he k Is k bawjud Isa'i Yahud se dosti or Musalmano se dushmani krte hain.

*Hazat Isa (A.S) & Qayamat:

Qyamat ki Alamat ka jb b tazkra ho ga to Hazrat Isa (A.S) ka zikar lazmi ay ga. Kiun k Quran-e-Pak mein Arshad he:
"Or wo (Hazrat IsaA.S) Qayamat ki 1 Nishani hain." (Al-Zukhruf: 61)

Hmare zehen mein aksar ye bat hoti he k Hazrat Isa (A.S) ko Isa'ion ki traf Nabi bna kr bhaija gia tha. Laikin asl mein unhein Yahudion ki tarf Nabi bna kr bhaija gia tha. Is se pehle Yahud ne boht se Nabion ko jhutlaya, staya, gustakhi ki, or boht se shahid b kiye gaye. Inhi hrkaton ki waja se Yahud ko boht dfa Azab ka b sam'na krna para. Phir Allah Tala ne Aakhri Muhlat k tor per Hazrat Isa (A.S) ko un ki traf bhaija k wo un ki islah krein. Or Un k deen mein se bid'aat ko khatam krein. Isi liye Allah Tala ne Hazrat Isa (A.S) ko boht se mojizat ata kiye:

1. Aap (A.S) bagair bap k paida huye.

2. Aap (A.S) ne Maa ki god mein hi bolna shuru kr dia.

3. Aap (A.S) ki shakhsiyat or kirdar is qism ka tha k jo koi b ap (A.S) ko daikh laita wo Aap (A.S) ko psand krne lagta.

4. Aap (A.S) jis baimar ko hath laga daite, Allah Tala us ki baimare ko dus frma daite.

5. Aap (A.S) murde ko kehte k "Allah k hakam se Uth" to wo zinda ho jata or uth kr khara ho jata.

6. Aap Mitti k Prinde bnate or wo Allah Tala k hukam se zinda ho jate or Urne lagte.

Laikin in sb nishaniun k bawjud Zayada tar Yahudion ne unhein man'ne se inkar kar dia. Ginti k chand logon ne un k paigam ko tasleen kia or Nasara (madad krne wale) kehlaye. In hi logon ko Isa'i b kaha jata he. Sirf yehi nhi balke Yahudion ne unhein suli pe charhane ki b koshish ki. Laikin Allah Tala ne is koshish ko nakam bnate huye Hazrat Isa (A.S) ko ba-hifazat Aasman per utha lia.
Ab Qayamt se pehle Allah Tala Hazrat Isa (A.S) ko dobara zmeen pe nazil frmayein ge or Wo Yahud ko un k krtut ki saza dein ge or Dajjal ko Qatal Krein ge. Isa'ion ki bari tadad un k hath pe Musalman ho jaye gi. Jb k baqi Yahudion k sath mare jayein ge. Tb dunya mein sirf 1 hi mazhab "Islam" reh jaye ga.
Is bar b Hazrat Isa (A.S) ko boht se Mujizad diye jayein ge. Laikin Yahud ki sarkashi is bar un k mujizat mein Rehmat ki Bajaye Jalal ka rang Numayan ho ga. Maslan...

1. Dajjal Aap (A.S) ko daikhte hi yun pighalna shuru ho jaye ga jaise Namak pani mein ya Charbi dhup mein ghulti he. (Al-Hakim)

2. Aap (A.S) ki sans kis kafir tk pohnche gi, wo usi waqt mar jaye ga. Or jahan tk Aap (A.S) ki nazar jaye gi, wahan tk Aap (A.S) ka sans pohnche ga. (Naeen bin Hammad)

3. Yahud jis pathar ya drakht k piche chupein ge, wohi un k khif munjari kre ga. (Al-Hakim)

*Maseeh k Mani:

"Maseeh ka Lafz Hazrat Isa (A.S) or Dajjal, dono k sath Use hota he. Laikin jb is se murad Dajjal ho to Maseeh k sath Dajjal ka Lafz zurur ata he. Yeni "Maseeh-u-Dajjal"

Hazrat Isa (A.S) ko Maseeh kiun kaha jata he?
Is bare mein Ulma k Mukhtaif aqwal hain:

1. Aap (A.S) ko Maseeh is liye kaha gia k ap jis baimar ko chute the, wo Allah Tala k hukam se theak ho jata tha.

2. Aap (A.S) ne Allah Tala ki Dawat ka kam krte huye zameen mein siyahat ki, is liye Aap (A.S) ko Maseeh kaha gia.

3. Aap (A.S) k paon Pure Zmeen per lagte the. Talwon mein khala nhi tha. Is liye Maseeh kaha gia.

4. Aap (A.S) ko gunahon se pak kia gia tha. Is liye Masheeh kaha gia.


Dajjal ko Maseeh kiun kaha gia?
Is k bare mein b boht sare aqwal hain. Laikin sb se zyada waze qol ye he k Dajjal ko Maseeh is liye kaha gia kiun k Ahadees k Mutabiq Dajjals ki 1 Aankh or abru nhi he.

Tuesday, August 23, 2011

*Hazrat Isa (A.S) ki Wasiyat:

Hazrat Abu Huraira (R.A) se riwayet he k Hazrat Mohamad (S.A.W) ne famaya: "Isa Ibn-e-Maryam Nazil hon ge to saleeb ko tor dein ge. Khinzeer ko qatal kr dein ge or Jizya ko mansookh farma dein ge. Allah Tala in k Zamane mein Dajjal ko Halak farmayein ge. Allah k deen ka bol bala ho ga." Is k bad Hazrat Abu Huraira (R.A) ne farmaya: "Kia tm muje nhi daikhte ho k main bilkul burha ho chuka hun? Meri hansli ki hadiyan barhape k ba'is mil jane k qareeb hain. Meri taman'na he k Meri Mot is waqt tk na ay, jb tk k main Aap (Hazrat Isa A.S) se mil na lun. Or mein in ko Nabi Kareem (S.A.W) ki Ahadees Snaun or Aap (A.S) meri tasdeeq krein. Agr main Aap (A.S) ki Mulaqat se pehle mar jaun or tmhari un se Mulaqat ho jaye to Aap (A.S) ko mera slam kehna." (Al-Dani)

Ye Tmam Musalmano k liye Hazrat Abu Huraira (R.A) ki wasiyet he k jo b Hazrat Isa (A.S) se mile wo un ka slam pohncha de.